Namaskar dosto ag ki es post me ham apko khet me tar bandhi karvane ka sabse behatarin tarika batane vala hu sath hi ye bhi batane vala hu ki apko tarbandhi karate time ap sapside kaise le sakte hai ag ki es post me khet se ghera bandi ko lekar sab kuch ap logo ke sath share karane vala hu

यहाँ  मै हमेशा सही जानकारी पोस्ट करता रहता  हूँ  अतः हमें यहाँ Subscribe जरूर  कर ले।

Ghera bandhi ke liye Khambhe kaise banvaye?

Dosto ghera bandhi ke liye apko chahiye ki ap home made pilar ya khambhe ka use kare ya ap agar ye khambhe market se lete hai to ho sakta hai vo majbut na ho but agar ap ese home par banvate hai to vo jarur hi majbut honge 

Khambhe ya pilar banvane ka process 


Dosto home par pilar dhalvane ke liye apko sabse pahale ek mistri or ek lebar ki jarurat padegi sath hi apko balu or siment kakrit yani ki gitti ki or chhad jarurat padegi


Maine jab apane khet ki ghera bandi ki thi to eske liye hamne 13 bori sement or 1 tracker balu or 1 tracker kakrit or 1 lenth chhad ka use Kiya tha or mai 6 feet labai ka pilar banva raha tha or yaha par maine kul 80 pilar ki dhalai karvai thi to esae maine 1000 feet ki gherabandi kiya hu to esse ap bhi ye andaja laga sakte hai ki apko kitane material ki avsakta hai pilar ki dalai me or pilar me 3 suti chhad ka use kare or 1 pilar me do tin suti chhad dale taki majbuti pilar ki jyda rahe or lamba chale or ek ek feet par 4 ( S ) type ke akure ka use kare taki ap enki help se katile tar ko badh sake

Ek pilar se busare pilar ki bich ki duri kitani honi chahiye ?

Dosto ye Question to ap logo ke dvara bahut jyada puchha jata hai ki akhir ek pilar se busare pilar ki bich ki duri kitani honi chahiye to apko bata de samanyatah ap ek pilar se dusare pilar ke bich ki duri 10 feet tak ap rakh sakte hai or ap es pilar ko 1 feet andar gade taki apko Ek achhi majahuti mil sake 

Ek bori sement me kitane pilar ban sakte hai ?

Ap logo me se kabhi logo ka ye bhi comment hoga ki ek bori sement me kitane pilar ban sakte hai vaise dosto apke ek bori sement me 6 pilar ban jyate hai or thoda bahut sement bach bhi jyada hai but hamane jo pilar banvaye hai unme 2 bori sement me 13 pilar aram se ban jate hai to kuchh esi type ka average ap le kar apna pilar dhalva sakte hai.
?

Home se pilar ko kaise khet me le jaye

Dosto pilar ka weight 60 se 70 kg tak ho sakta hai es liye ese khet me le jane me bhi apko problem ho sakti hai esake liye ap chahe to cycle ka use kar sakte hai ap esase bahut hi easly ap pilar ko khet me kar ja sakte hai.

Khet me Tar bandhi ke liye konsa Tar use kare ?

Dosto Agar ap khet me tar ki ghera bandi medium budget me karna chahte hai to ap katile tar ka use kar sakte hai jo apko achhe quality me 70 - 75₹ par kilo apko mil jayega ap esake use se kafi achhe se khet ki ghera bandhi kar sakte hai.

Khet me Tar bandhi ke liye konsa Tar use kare ?

Dosto tar bandhi me apko lamba time lag jata hai kyo ki ese kai round me gherana hota hai Esase liye ap sabhi tar ko bari bari se phailaye or use akuro me phasate jaye antim me tar ko khich kar bad le ya akuro ko daba de.

Tar bandhi me kharch 

Dosto jo bhi tar bandhi karvane me khracha mera aya hai mai use yaha apake sath share kar raha hu ap esase apne tarbandhi ke kharche ka andaja laga sakte hai



Balu - 1 Tracker 
Kakrit - 1 Tracker 
Sement - 14 Bori
Rods - 3 suti rod & 2 Suti rod

Kul bana pilar - 90
Kul khet ki gherabandi - 900 feet 
Pilar ki hight - 6.5 feet 
Pilar ki kitna gadana hai - 1 feet

Katile tar ki price - 70 - 75₹ par kg
1000 feet gharane me laga tar - 1 quintal 35kg

Tar bandhi me pura kharch - 45,000 ₹

Dosto enme se thoda bahut material bacha bhi hai jaise ki kakrit & balu or 5kg katla tar jise ap chahe to return kar sakte hai ya phir ap kahi or jagah use kar sakte hai.

Tar ki ghera Bandi me subsidy kaise le ?

Dosto achha hoga agar sarkar hame tar ki ghera bandi me subsidy bhi de but dosto yaha par ek dukhad bat yah hai ki tar ki ghera bandi par sarkar subsidy nahi provide karti hai bas Rajasthan state se jo log hai keval ve hi tarbandhi ke liye subsidy le sakte hai baki or kisi state me tarbandhi ke liye subsidy nahi provide karati hai sarkar.

So Dosto umid hai ki mai ap sabko es topic se sam bandhi full information de paya hounga

 phir bhi agar koi information chhut gai hai ap Janna Chahte hai to comment karake puchh sakte hai

Like Share & Support  [ Subscribe Us ]