Latest Article

Monitor Buying Guide and Tips

Namaskar dosto aaj ki yah post bahut hi Kamal Ki Hone Wali Hai Kyunki aaj ke is post me mai aap Logo ke sath monitor ko buy karte time konsi chije apako dyan deni chahiye eske bare me full information share karne vala hu jisase Ap bhi ek behtarin Monitor ka chunav kar sakte hai. 


Monitor Buying Guide 

1. Sbase pahle ye decide Karen ki aapko monitor kis kam ke liye purchase karna hai ?

Dosto Monitor kharidne se pahle aapko yah decide kar lena hai Ki Aakhir aap monitor kis kam ke liye kharidane ja rahe h taki ap apne es kam ke anusar ek behtarin Monitor ka chunav kar sake

2. Tv vs Monitor

Kai bar Ham Logo ke dimag me yah Baat Aati Hai Ki kya ham monitor ki jagah pe smart TV use kar sakte hai, es sthiti me mai apana personal experience aap Logo ke sath share karna Chahunga jab maine ek CPU buy kiya tha to use Samay mere pass monitor na hone ke Karan main do din ke liye apna smart TV monitor ke Jagah per use kar liya, is sthiti me hua ye ki Jab mai computer par kaam karne Lagta To ek do ghante bad Meri dono eyes Dard karna Shuru kar deti

Jab maine esake bare me company se bat ki to pata chala ki Smart TV me pixels bahut pas pas hote hai or use dur se bhaithakar dekhane ke aim se uska display design Kiya jata hai Vahi monitor me pixels Dur Dur Hote Hain aur use pass se baithkar kam karne ke aim se design Kiya jata hai Sath hi aapko esme Eye protection feature bhi use Kiya jata hai jisse Hamari Eyes surakshit rahti hai. 

3. Konsa Monitor lena chahiye ? 

Vaise monitor lete Samay Hame bahut pareshani hoti hai but aap in points ko Dhyan Mein rakhte hue Ek Behtarin Monitor ka chunav kar sakte hain. 

[1]. Apane need ke anushar Monitor ke screen size ka chunav kare

Dosto ab apko sabse pahle apni need ke anusar Monitor ke screen ka chunav karna hai jaise ki ap ek office work ke liye monitor lena chahte hai to apko Ek Bada or Ek bezelless monitor ka chunav karna hoga jo ki apake office or work ko properly kar sake or apake customers ya apke office me a rahe logo ko ek professional vali feeling kara sake so ap chahe to esake liye 22 inch ya 24 inch ka Monitor le sakte hai.

[2]. Konse panel ka Monitor lena chahiye? 

Monitor buy karte samay panel bahut jyada Dhyan Diya jata hai vaise monitor me 3 type ke panel Hote Hai.


(1). VA
(2). TN
(3). IPS

En tino type ke panel me color or contact rasio ka different hota hai apko esme jyada confused hone ki jarurat Nahi Hai bus yah Dhyan rakhiye ki Monitor sadev IPS Panel ka ki kharidna chahiye kyo ki yan en sabhi panel se best hota hai.

[3]. HD vs Full HD Display 

Monitor Buy karate time Kabhi Kabhi e Humko yah confusion Hota Hai ki Monitor HD Le ya fir full HD to iske liye Ham aapko batana Chahenge aap avashyakta anusar koi bhi display choose kar sakte hai lekin aap  jaydatar full HD ya fir isase Aage Quad HD 4K 8K is type ki display quality select Kare jisse aapko in future apni PC ko upgrade karne me  Jyada problem na face  karna pade.

[4]. Top 5  Monitor company's 
Dosto Iske bad ab aap in top 5 Monitor companiyo me se kisi ek company ke monitor ka chunav kar sakte hai ap yaha Monitor ka chunav apni Budget or need or upaar jo maine point bataya un sabhi ko dyan dete hye apane monitor ka chunav kare

(1). Dell
(2). LG
(3). Sumsung 
(4). Acer
(5). Asus

So dosto in important points ko Dhyan dete huye aap bhi apne liye ek behtarin Monitor ka chunav kar sakti hai.

I hope ag ki yah Monitor Buying Guide Tips apako bahut hi Pasand ayi hogi esi tarike se or bhi kamal ki post pane ke liye Hame Yaha subscribe Kare. 




Post a Comment

0 Comments