यहाँ मै हमेशा सही जानकारी पोस्ट करता रहता हूँ अतः हमें यहाँ Subscribe जरूर कर ले।
Kashi Vishwanath Ki Yatra
Dosto kashi vishwanath dham ki yatra ki suruat mai morning 5am se kiya tha or 60 km ki duri tay karne ke bad mai varansi karib 8 baje pahucha phir maine apni car park ki jiska charge 20₹ par hours dena padta hai car park karne ke bad ab mai ganga snan ke liye Ganga ghat ki tarph age bada.
Varansi Ganga Maa ka Darshan
Car parking ke bad ab Ham age bad rahe the ganga snan ke liye yaha par hame ganga ghat par kuchh important notice dekhno ko mila jo apko bui jarur padna chahiye 👇
Yah ghat tha dashashvmedh ghat jaha par ganga snan karne se apko asmev yagy ka phal prapt hota hai esa purano me kaha gya hai yaha ka najara dekhne yogy tha
yaha par maine boat ki savari kiya or boat ki savari me bahut maja aya boat ki savari ka ek alag ki maja hota hai sath me yaha par hame winter session me yaha par saiberion puchhi bhi hame dekhne Ko milte hai jo ki apki yatra ko or bhi majedar bana dete hai ene ap 10₹ ka dana dal kar apne pas bula sakte hai .
Winter session Ganga snan
Dosto winter session me ganga snan ke ek alag hi maga hota hai but ek bat hai ganga me kitna bhi nahao dil ni barta hai but winter session me ap ganga me jyada time tak snan nahi kar sakte hai kyo ki tandi lagti hai or bimar hone ka dar bhi rahta hai.
Horse Riding
Dosto kashi vishwanath dham me akar maine pahli bar Horse Riding ka maga liya yaha ret me horse par baith kar chalne ka maja hu kuchh or hai ese baya nahi kiya sakta basarte es horse Riding ko apko paise bhi dene padate hai maine horse Riding ke liye 50₹ Pay kiya sath hi Photos or videos bhi shoot kiya ap bhi jab yaha aye to horse Riding jarur kare.
Camel Ride
Horse Riding karne ke bad ab mera man Camel ride ko hua maine socha chalo eski bhi savari kar hi lete hai but dosto yaha par mai apko bata du Camel Riding Horse Riding se bilkul hi alag hai esme jab Camel uthta or baithata hai dono hi time bahut dar lagta hai but agar ap savdhani rakhte hai to tik hai nahi to bahut hi darvna mera experience raha Camel Riding ke sath.
Kashi Vishwanath Dham
Dosto ganga snan ke bad ab bari thi Kashi Vishwanath baba bole nath ke darshan karne ki
Ab Ham phul mala or dugh ko lekar age bad rahe the bole baba ke darshan ke liye yaha par ap mobile phone camera or other tools nahi le ja sakte hai only ap money or phul mala le ja sakte hai
Bich bich me checking hoti rahi hai electrical checking machino ka use Kiya jata hai checking ke liye sath hi security ka bhi achha khasa entjam rahta hai kyo ki mandir gold or silver ka bana hai mandir dekhane me bahut sundar lag raha tha sath hi yaha par keval apko dur se hi chhaki yani ki ap dur se hi
keval bolenath ko dekh sakte hai but agar apko unke pass se darshan puja karni hai to apko parchi katana hota hai yani ki paise dene padate hai
Baki uske bad hamne anpurna me bhojan liya jo ki kaphi sadist tha or sath me free bhi tha vaha ka bhojan bahut hi achha laga ap bhi kha ek bar jarur khaye yaha or free hone ke sath vevstha bhi kaphi had tak achhi hai anpurna me ab yah sab karte adha din nikal gya tab hamne socha ki chalo ab sankat mochan dham ki bhi yatra kar lete hai
Sankat Mochan Dham
Dosto Jab ham sankat mochan dham pahuche to vaha par mandhir band tha to vaha par mandir band tha
Sankat mochan mandir open and close time
Open - Morning 7am
Close - 1:30 pm
Open - 3 pm
Close - 9 pm
So dosto ab mandir band tha phir hamne wait kiya mandir open karne ka 3 baje se pahle hi logo ne line lagana logo ne suru kar diya karib 500m tak lambi line logo dvara laga di gayi tab 3 baje mandir open hua maine bhi har mala lekar maine bhi hanuman ji ki puja ki
Yaha par bhi came mobile phone le kar jana sakht mana hai sath hi yaha par apko bahut adhik matra me monkey dekhne Ko milte hai so Dosto yaha darsan karne ke bad ham ghar vapas ane ke liye ravana ho gye yaha par bhi hame car ko park karna pada tha jiska charge 30₹ dena pada tha
So ye thi hamari Varansi ki yatra
So Dosto umid hai ki mai ap sabko es topic se sambandhi full information de paya hounga
phir bhi agar koi information chhut gai hai ap Janna Chahte hai to comment karake puchh sakte hai
Like Share & Support [ Subscribe Us ]

0 Comments
Please do not enter any spam link in the comment box.