Latest Article

Vindhyachal Dham । Vindhyachal mandir

Namaskar dosto aaj ke is post me Ham aapko Vindhyachal se Judi Khaas Bato ko bataenge Sath hi mai apani vindhyachal yatra se judi khas bato ko bhi yaha apake sath share karunga jisase apako Vindhyachal dham ki yatra karane me kaphi madat hogi

Vindhyachal Dham । Vindhyachal mandir



Vindhyachal Dham ki yatra Mere Jivan ki ek Khas Yatra me se ek hai kyo ki es yatra me muchhe bahut maja aya sath hi or maata ki kripa se yahi se ahamare ek naye jivan ki suruat hui

Vindhyachal Mandir 

Vindhyachal mandir Uttar Pradesh ke Mirzapur district me sthit hai yaha per Roj hajaro ki sankhya Me shradhalu Aate Hai na sirf Bharat Se Hi balki foreign country Se Bhi yaha per shradhalu Aate rahte hai

Or enhi shradhaluo me se Ek Mai Bhi Tha Jo ki car ke jarie Vindhyachal Dham Me ganga me nahane or mata ke darshan ki chahat  se gya tha 

Vindhyachal Ganga Snan 

Vindhyachal Dham । Vindhyachal mandir 2

Vindhyachal dham ka ganga snan ag bhi yad h muchhe vah din jab sabse pahle mai ek  Nav ki sahayata se ganga Tut kedusre Paar Gaya aur vaha per Maine Ganga snan Kiya yaha ek khas bat yah thi ki yaha pani clean tha Aur ghar I kam thi jis karan bahut Anand ke sath snan Kiya Gaya Yaha per kuchh hi dur par ek balu ka hame ek bahut chota island jaisa bhi mila jispar balu ek dusre par phaikar khum Anand liya gya vaise yah balu ka island ya tila ganga me pani adhik hone par nahi dikhai deta

Vindhyachal Mata Darshan 

Vindhyachal Dham । Vindhyachal mandir 2

Ganga snan Ke bad Ganga Maa Ki Puja Archana ham sabne ki or ab Ham taiyar the Vindhyachal Mata ka darshan karne ke liye  aur phir Humne dukan par pushpamala kharidi jisake liye hame 100₹ pay karane pade or ab Ham utsuk the mata ka Darshan karne ke liye

Ganga tat se ham sabako lagbhag 500 Mita ki ek lambhi duri galio me se karni padi jisake bad phir hame Vindhyachal mata ka mandhir dikhai diya en galiyo me alag alag dukane hone ke karan gali logo se bhari rahati h or shradhalu ate jate rahate h to bhid bhi hoti rahati h

Vindhyachal mandir ke andhar dhid adhik tha yaha par mata ka darsan ap do tarike se kar sakte h ek to window se dharshan kar sakte h dusara agar ap pas se darshan karna chahte h to apako ek lambi line se hokar bhi gugarna pad sakta h maine bhi ak lambi line se hokar Vindhyachal mata ka Darshan kiya.

Es Vindhyachal mandir ke andar or bhi murtiya sthpit ki gyi h jisake bad maine yah bhi darshan kiye 

Ap chahe to hamari Vindhyachal Dham ki youtube par sabse jyada pasand ki jane vali yah Video dekh sakte hai 



Vindhyachal Dham ki yatra me ye chije dyan de ap

 Agar aap Vindhyachal Dham ki yatra Karte Hai ya fir karna chahte hain to ap en khas Bato ko aapko Dhyan Rakhna chahie.

1. Yaha per apne Saman Ka Dhyan rakhe khas kar tab jab ap ganga snan kar rahe ho.

2. Ganga snan karte samay Jyada gahrai vale gagah snan na kare.

3. Apane pocket ka dyan rakhe kyo khi bhid adhik hoti h to pocket khone ka chance jayda rahata h.

4. Ap chahe to Apane Budget ka bhi dyan de sakte hai kyo ki en gagho par money bahut tegi ke sath kharch hoti h

5. Apane car ya bike ko sabse nagdiki parking me hi park kare jisse apako suvidha hogi.

I hope ag ki yah post apako bahut hi Pasand ayi hogi esi tarike se or bhi kamal ki post pane ke liye Hame Yaha subscribe Kare. 

Post a Comment

0 Comments