Latest Article

बंद Sim Card को kaise chalu kare

Sim Card Band Kyo Ho Jaate Hai ?

Is post Me Aage badhane se pahle Hamko yah Janna jaruri hai Ki Aakhir simcard Kyo Band Ho Jaate Hai Kaun se samasyaen Aati Hai Jiske Karan Hamara Sim Card band kar diya Jata Hai Dhyan Rahe Yaha per Mera sim card Kahane ka Arth Sabhi companiyo Ke sim card se hai jaise ki Airtel Jio BSNL Idea Vodafone
Band Sim ko kaise chalu kare Jio Vodafone Idea Airtel BSNL

Jaydatar sim card jo Band Ho Jaate Hai ya FIR band pad Jaate Hai unke Piche 3 Reason ho sakte hain.

1. Reason

Agar aap 90 din tak aap us SIM card ka use Nahin karte hain to jaydatar SIM company aapka sim card band kar deti Hain

Agar is Karan se aapko samasya a rahi hai To sabse pahle aapko customer care ki madad leni Hogi kuch log Hum Ko comment Karke Puchte Hai ki mera sim card Band Hai To Mai customer care ki madad Kaise Lunga is sthiti me aapko Apne dost ya Fir family me usaki madad leni Hogi Jiske pass Usi company ka sim card ho aap Uske phone se customer care ko call kar sakte hai

Agar customer care Sim chalu nahi kar pata to kya kare?

Es sthiti mein aapko sabse pahle apne us band number per do teen baar bar Kisi Anya phone Se a phone call karna hai ise aapko yah Pata lagega ki aapka Vah sim card Kisi or ke ID par to transfer nahi ho gya hai.

Darshal Hota yah hai ki Jab aap Apna sim card 90 din tak use Nahi Karte Hai Koi SMS Nahi Karte Hai Koi usse phone call Nahi Karte Hain To is sthiti mein sim company ko lagta hai ki yah sim card bekar hai iska Koi use Nahi Hai or ISI karan vah aapka sim card band kar deti hai aur Usi Number Ko Kisi dusre person ke ID ke sath attach Karke vah sim card use De Deti Hai

Agar band number per phone call Na Lage to Kya Kare ?

Ab agar aap apne Band sim number per phone Lagate Hai aur vah  Nahi Lagta Hai vah number aapka band batata hai to aapko Apna Aadhar card aur Vahi person ka Aadhar Card jisse pahle open Kiya gaya tha vah sim card use lekar aur Vahi vyakti Jiska Aadhar Card hai Lekar use SIM store per chale jana hai aap jaise ki mera Airtel ka sim card band Hua Hai To Mai Apna Aadhar Card Lekar Airtel store per Chala Jaunga aur unhe mera number fir se reactivate karne ke liye request karunga Jiske bad aapka vah band number fir se chalu kar diya jata hai.

2. Reason

Yah samasya jydater un Logo Ko Aati Hai Jab vah Lambe Samay Tak apni us SIM card me recharge Nahi Karte Hai Jiske Karan aapka vah sim card company kabhi kabhi band kar deti yah jydater yah samasya jio sim card Me Dekha gaya hai

Iske liye bhi sabse pahle aapko is sim ki activity ko check karna hoga agar aapka sim card Kisi Any person ko nahin mila hai to aap use jio store ya Fir Jis company ka aapka Sim Card hai us store par jakar fir se reactivate Karva sakte hai

En Topics per Maine Ek full video bana chuka hu Agar aapko is Prakar ke samasya a rahi hai to aap yah Video dekh sakte hain





3. Reason 

Is Prakar ki samasya jydater Un Logo me dekhne Ko milati Hai jo ki hal hi Me Apna sim open karvaye Hai ya FIR port karvaye Hai ya FIR unke a number par recharge Bhi Tha aur vah use SIM card ko proper tarike se use bhi kar rahe the Achanak unaka sim card bich Me Band Ho Gaya 

Yah samasya is Karan Aati Hai Jab Ham Apna sim open karwane ke liye Jaate Hain Jo Bhi vahan per uh ID proof Dete Hai Agar vah ID proof sim company ko lagta hai ki yah Sahi Nahin Hai Ya Fir aisa bhi ho sakta hai Jankari Bharte Samay Kisi Prakar ka mistake ho gaya ho Jiske Karan company aapka ID proof reject kar deti hai Jiske Karan aap ko yah samasya dekhne Ko milati Hai

Is Prakar ke sim card ko kaise open karvaye?

Agar aapko bhi is Prakar ki samasya a rahi hai to aapko apna ID proof fir se lekarke Jahan Se aapane a SIM open karvaya tha vaha per Jana Hoga or unhe is sim ko fir se reactivate karne ke liye aapko request Karni Hogi Jiske bad aapka sim card fir se reactivate kar diya jata hai.

Post a Comment

0 Comments